faraaz-e-dar pe ek din saja ke dekh hamein
hamin hain ahl-e-wafa aazma ke dekh hamein
hum ek naqsh-e-mohabbat hain tere daman par
miTa sake to zamane miTa ke dekh hamein
hamein bujha ke andheron mein kyun bhaTakta hai
charagh-e-rah the hum phir jala ke dekh hamein
tujhe bhulane ka wada to kar liya hum ne
magar ye shart hai tu bhi bhula ke dekh hamein
hum ahl-e-fan to shagufe hain rang o nikhat ke
kisi gulab ki surat uga ke dekh hamein
rula ke hum ko suna hai ki tu bhi rota hai
hamare samne aa phir rula ke dekh hamein
nazar na aaenge hum qahqahon ki mahfil mein
jo dekhna hai to aansu baha ke dekh hamein
hamare KHwab-e-bahaaran ki aabru rakh le
kisi kali ki tarah muskura ke dekh hamein
har ek gham ko isi zid mein bhul jaunga
wo kah rahe hain ki 'razmi' bhula ke dekh hamein
Ghazal
Faraaz-e-dar pe ek din saja ke dekh hamein
Muzaffar Razmi