faraaz-e-be-KHudi se tera tishna-lab nahin utra
abhi tak us ki aankhon se KHumar-e-shab nahin utra
zara main soch lun kya kaam us ko aa paDa mujh se
kabhi wo baam-e-tanhai se be-matlab nahin utra
meri pursish ko aa pahuncha hasin banda koi warna
falak se aaj tak meri madad ko rab nahin utra
sitara sa nazar aata hai upar se jahan pani
main KHush-fahmi ke is gahre kuen mein kab nahin utra
pashemani ke baad us ko giraun kaise nazron se
ki jab wo bewafa tha mere dil se tab nahin utra
kabhi sartaj mujh be-taj ko sahwan kaha us ne
abhi tak mere sar se nashsha-e-mansab nahin utra
tamanna hai ki chheDun naghma-e-insaniyat lekin
'qatil' ab tak mere aasab se mazhab nahin utra
Ghazal
Faraaz-e-be-KHudi se tera tishna-lab nahin utra
Qateel Shifai