اردو हिंदी
Farar ke liye jab rasta nahin hoga | Shaahi Shayari
farar ke liye jab rasta nahin hoga

Ghazal

Farar ke liye jab rasta nahin hoga

Atiiqullah

;

farar ke liye jab rasta nahin hoga
to bab-e-KHwab bhi kya koi wa nahin hoga

ek aise shahr mein kuchh din Thahar ke dekha jae
jahan kisi ko koi jaanta nahin hoga

wo baat thi to kai dusre sabab bhi the
ye baat hai to sabab dusra nahin hoga

yun is nigah ko apni kushada rakhte hain
ki is ke baad kabhi dekhna nahin hoga

jo tang hote gae qalb-ha-e-sina-maqam
koi maqam maqam-e-dua nahin hoga

koi zamin to hogi teri zaminon par
hamare jaisa koi naqsh-e-pa nahin hoga