faraKH-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai
jo ek bund ki manind bahr-e-hasti hai
wo jis ko napiye to Thaharti nahin hai kahin
isi zamin pe kul kaenat basti hai
ghaTa to jhum ke aati hai aae din lekin
jahan barasna ho kam kam wahan barasti hai
zamin karti hai mujh ko ishaara-e-parwaz
meri tamam bulandi rahin-e-pasti hai
ab aur der na kar hashr barpa karne mein
meri nazar tere didar ko tarasti hai
jo gird-o-pesh se main be-niyaz hun 'rahi'
isi mein hosh hai mera isi mein masti hai
Ghazal
FaraKH-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai
Ghulam Murtaza Rahi