اردو हिंदी
Faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah | Shaahi Shayari
faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah

Ghazal

Faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah

Allama Iqbal

;

faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah
faqr hai miron ka mir faqr hai shahon ka shah

ilm ka maqsud hai paki-e-aql o KHirad
faqr ka maqsud hai iffat-e-qalb-o-nigah

ilm faqih o hakim faqr masih o kalim
ilm hai juya-e-rah faqr hai dana-e-rah

faqr maqam-e-nazar ilm maqam-e-KHabar
faqr masti sawab ilm mein masti gunah

ilm ka maujud aur faqr ka maujud aur
ashhado an la ilah ashhado an la ilah

chaDhti hai jab faqr ki san pe tegh-e-KHudi
ek sipahi ki zarb karti hai kar-e-sipah

dil agar is KHak mein zinda o bedar ho
teri nigah toD de aaina-e-mehr-o-mah