faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai
meri pagDi bhi gir jae to mera sar mahakta hai
wo apne hath mein ek phul bhi le kar nahin aaya
magar jaise koi gulshan mere andar mahakta hai
mujhe dekhe bina us ka kabhi chehra nahin khilta
ajab KHushbu ka jhonka hai mujhe chhu kar mahakta hai
pari ki dastanon se moattar hai udhar aangan
idhar salan ki KHushbu mein rasoi ghar mahakta hai
ye mana sab ke hathon mein yahan kashkol hai lekin
yahi wo ganw hai har din jahan langar mahakta hai
na jaane KHwab ke TuTe khanDar mein kaun aaya tha
kabhi kamra mahakta hai kabhi bistar mahakta hai
mere lahje mein ghulti ja rahi hai yun teri KHushbu
koi bhi aaina dekhun tera paikar mahakta hai
saliqa yun bhaTakne ka sikhaya hai faqiron ne
jidhar se hum guzar jaen wahan ghar ghar mahakta hai
na jaane ganw ke panghaT mein 'sagar' kaun aaya tha
abhi tak dekhiye talab ka patthar mahakta hai
Ghazal
Faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai
Taufeeq Sagar