اردو हिंदी
Faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain | Shaahi Shayari
faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain

Ghazal

Faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain

Irfan Siddiqi

;

faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain
ki hum dast-e-karam duniya pe arzani bhi karte hain

dar-e-ruhaniyan ki chaakari bhi kaam hai apna
buton ki mamlikat mein kar-e-sultani bhi karte hain

junun walon ki ye shaistagi turfa-tamasha hai
rafu bhi chahte hain chaak-damani bhi karte hain

mujhe kuchh shauq-e-nazzara bhi hai phulon ke chehron ka
magar kuchh phul chehre meri nigrani bhi karte hain

jo sach puchho to zabt-e-arzu se kuchh nahin hota
parinde mere sine mein pur-afshani bhi karte hain

hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta
ki hum daftar bhi jate hain ghazal-KHwani bhi karte hain

bahut nauhagari karte hain dil ke TuT jaane ki
kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain