faqih-e-shahr se rishta banae rahta hun
sharif ghar ka hun izzat bachae rahta hun
magar ye rah to is tarah tai nahin hogi
main donon panw zamin par jamae rahta hun
akele shaKHs pe dushman diler hote hain
to sath mein koi qissa lagae rahta hun
banae kuchh nahin banti zamin pe jab mujh se
to aasman ko sar par uThae rahta hun
abhi kahan koi naubat hai marne jine ki
zara azizon ko yun hi Darae rahta hun
kisi faqir ke tawiz ki tarah 'zaidi'
main zer-e-sang tamanna dabae rahta hun
Ghazal
Faqih-e-shahr se rishta banae rahta hun
Suhail Ahmed Zaidi