faqih-e-shahr ka lahja hai pur-jalal bahut
tabhi to shahr mein phaila hai ishtial bahut
wo ek shaKHs ki mahrum-e-shana-o-sar hai
use hai jubba-o-dastar ka KHayal bahut
wo pahle aag lagata hai phir bujhata hai
use hai shoabda-bazi mein bhi kamal bahut
amir-e-shahr ki sari tijoriyan KHali
gada-e-shahr ke kashkol mein hai mal bahut
muhafizon ki zarurat tumhaare jaison ko
hamare jaison ko apne badan ki Dhaal bahut
kahan se sikh ke aae ho guftugu ka hunar
uTha rahe ho sar-e-bazm tum sawal bahut
usi ke hath pe baiat usi se ahd-e-wafa
tumhein yazid ka jis par tha ehtimal bahut
faza mein uDte parindon ko bhi nahin malum
ki baghban ne bichhae hain ab ke jal bahut
jo ho raha hai tamasha wahi dikhata hai
kalam hota hai 'nasir' ka hasb-e-haal bahut
Ghazal
Faqih-e-shahr ka lahja hai pur-jalal bahut
Nasir Basheer