faqat shor-e-dil-e-pur-arzu tha
na apne jism mein hum the na tu tha
har ek ke panw par jhukte kaTi umr
na samjhe hum ki kis qalib mein tu tha
jahan pahunche usi ka nur paya
jidhar dekha wahi KHurshid-ru tha
jagah daman mein apne kyun na dete
ki tifl-e-ashk apna hi lahu tha
kahun kya dil ki main nazuk-mizaji
KHuda baKHshe nihayat tund-KHu tha
main kaifiyyat kahun kya bazm-e-mai ki
ki mina hath mein aankhon mein tu tha
ghash aaya us ne tauli tegh jab jab
ajab halka hamara bhi lahu tha
bahut DhunDa kahin paya na hum ne
bata de ye ki kis goshe mein tu tha
bacha qatil ka daman lillahil-hamd
bahut khaula hua apna lahu tha
udu the saqiya sab mai-kade mein
yahi ek aas thi palle pe tu tha
libas-e-kuhna jab tha apna sad-chaak
to phir bekar paiwand o rafu tha
ghazab mein aa ke tujh ko toDta shaiKH
natija bahas ka kya ai subu tha
teri taswir the hum bhi kisi waqt
yahi naqsha hamara hu-ba-hu tha
nazar mein hech tha kaunain saqi
labaalab jam tha hum the subu tha
saza laghzish ki pate bazm mein hum
KHuda ko KHair karna tha ki tu tha
hum apne hosh mein baqi the har tarah
magar jab tu hamare ru-ba-ru tha
tujhi se munh phula lete ajab kya
saba ghunchon ka bhi aaKHir numu tha
chale hum bagh se ai 'shad' kis waqt
bahaar aane ko thi gul ka numu tha
Ghazal
Faqat shor-e-dil-e-pur-arzu tha
Shad Azimabadi