faqat qaziya yahi hai fann-e-tabi aur ilahi mein
jo ilm-e-marifat chahe to rah yaad-e-ilahi mein
samajhta hai usi ka jalwa-gah ghaib-e-shahadat ko
nahin kuchh farq aarif ko safedi o siyahi mein
nahin aaram mujh ko iztirab-e-dil se sine mein
ki dariya muztarib hota hai betabi-e-mahi mein
na kar maston se kawish har ghaDi aaman kahta hun
KHalal aa jaega zahid teri ismat-panahi mein
jaga kar KHwab-e-asaish se 'bedar' aah hasti mein
adam-asudgan ko la ke Dala hai tabahi mein
jo kaifiyyat hai masti se teri aankhon ki lali mein
nahin wo nashsha-e-rangin sharab-e-portugali mein
sar-o-barg-e-KHushi ai gul-badan tujh bin kahan mujh ko
gulistan-e-dil aaya fauj-e-gham ki paemali mein
dur-e-dandan hue the maujzan kis bahr-e-KHubi ke
ki moti sharm se pani hue silk-e-laali mein
jahan wo shakkarin-lab guftugu mein aawe ai tuti
suKHan sarsabz tera kab ho wan shirin-maqali mein
abas hai aarzu-e-KHush-dili 'bedar' gardun se
mai-e-rahat jo chahe so kahan is jam-e-KHali mein
Ghazal
Faqat qaziya yahi hai fann-e-tabi aur ilahi mein
Meer Mohammadi Bedar