اردو हिंदी
Fankar ke kaam aai na kuchh dida-wari bhi | Shaahi Shayari
fankar ke kaam aai na kuchh dida-wari bhi

Ghazal

Fankar ke kaam aai na kuchh dida-wari bhi

Wamiq Jaunpuri

;

fankar ke kaam aai na kuchh dida-wari bhi
karna paDi shahzadon ko daryoza-gari bhi

ek silsila-e-dar-o-rasan phaila hua hai
minjumala KHataon ke hai sahab-nazari bhi

jin hathon ne phaDe na kabhi jeb o gareban
un hathon se ho sakti nahin baKHiya-gari bhi

un se to bahr taur har ek rahzan achchha
jo rahzani karte hain aur rahbari bhi

jab ilm ho surat-gar-e-mashshata-e-dozaKH
firdaus hai aadam ke liye be-KHabari bhi

jab sar se guzar jata hai talwar ka pani
sar tham ke rah jati hai bedad-gari bhi

'wamiq' tujhe yaron se jo begana bana de
ek saghar-e-be-kaif hai wo namwari bhi