fana ke raste phulon se bhar gae shayad
sitare manzil-e-shab se guzar gae shayad
na aah dil mein na aankhon mein ashk baqi hain
hawas rishta-e-gham par kar gae shayad
jo nur bharte the zulmat-e-shab ke sahra mein
wo chand tare falak se utar gae shayad
mahakte phul jo yaadon mein muskuraate the
nafas ki tez hawa se bikhar gae shayad
wafa ki rah mein jo qafile rawan the kahin
wo manzilon ka pata hi bisar gae shayad
chalo yahan se kahin aur mar rahen mamun
tuyur-e-gham bhi makan KHali kar gae shayad
Ghazal
Fana ke raste phulon se bhar gae shayad
Khaleel Mamoon