fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana
ajal kya hai KHumar-e-baada-e-hasti utar jaana
azizan-e-watan ko ghuncha o barg o samar jaana
KHuda ko baghban aur qaum ko hum ne shajar jaana
urus-e-jaan naya pairahan-e-hasti badalti hai
faqat tamhid aane ki hai duniya se guzar jaana
musibat mein bashar ke jauhar-e-mardana khulte hain
mubarak buz-dilon ko gardish-e-qismat se Dar jaana
wo tab-e-yas-parwar ne mujhe chashm-e-aqidat di
ki sham-e-gham ki tariki ko bhi nur-e-sahar jaana
bahut sauda raha waiz tujhe nar-e-jahannam ka
maza soz-e-mohabbat ka bhi kuchh ai be-KHabar jaana
karishma ye bhi hai ai be-KHabar iflas-e-qaumi ka
talash-e-rizq mein ahl-e-hunar ka dar-ba-dar jaana
ajal ki nind mein bhi KHwab-e-hasti gar nazar aaya
to phir bekar hai tang aa ke is duniya se mar jaana
wo sauda zindagi ka hai ki gham insan sahta hai
nahin to hai bahut aasan is jine se mar jaana
chaman-zar-e-mohabbbat mein usi ne baghbani ki
ki jis ne apni mehnat ko hi mehnat ka samar jaana
sidhaari manzil-e-hasti se kuchh be-e'tinai se
tan-e-KHaki ko shayad ruh ne gard-e-safar jaana
Ghazal
Fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana
Chakbast Brij Narayan