fan asl mein pinhan hai dil-e-zar ke andar
fankar hai ek aur bhi fankar ke andar
kanTon pe bichhata hai gulabon ka bichhauna
do rang hain ek sath mere yar ke andar
wo shor tha mahfil mein koi sun nahin paya
ek chiKH thi pazeb ki jhankar ke andar
tum sach ki zinat the mujhe dekhte kaise
main bhi tha nai subh ke aKHbar ke andar
'asrar' mujhe dil ne ye kal raat bataya
shoala hun bulandi ka main ek KHar ke andar
Ghazal
Fan asl mein pinhan hai dil-e-zar ke andar
Asrar Akbarabadi