اردو हिंदी
Falsafe ishq mein pesh aae sawalon ki tarah | Shaahi Shayari
falsafe ishq mein pesh aae sawalon ki tarah

Ghazal

Falsafe ishq mein pesh aae sawalon ki tarah

Sudarshan Faakhir

;

falsafe ishq mein pesh aae sawalon ki tarah
hum pareshan hi rahe apne KHayalon ki tarah

shishagar baiThe rahe zikr-e-masiha le kar
aur hum TuT gae kanch ke pyalon ki tarah

jab bhi anjam-e-mohabbat ne pukara KHud ko
waqt ne pesh kiya hum ko misalon ki tarah

zikr jab hoga mohabbat mein tabahi ka kahin
yaad hum aaenge duniya ko hawalon ki tarah