اردو हिंदी
Falak se chand chaman se gulab le aae | Shaahi Shayari
falak se chand chaman se gulab le aae

Ghazal

Falak se chand chaman se gulab le aae

Akhlaque Bandvi

;

falak se chand chaman se gulab le aae
kahan se koi tumhaara jawab le aae

hazar rang hain husn-o-jamal ke lekin
wo rang aur hai jis ko shabab le aae

ajib turfa-tamasha hai zindagi meri
KHushi bhi aae to gham be-hisab le aae

tere KHamir mein shamil hai gumrahi warna
falak se kitne payambar kitab le aae

idhar wo tishna-labi hai ki jaan-ba-lab hain hum
udhar wo dast-e-karam par sarab le aae

usi ki aaj bhi rahti hain muntazir aankhen
jo aa bhi jae to sad iztirab le aae

ye sher-goi hai 'aKHlaq' koi khel nahin
kare wo mashq jo chhalni mein aab le aae