اردو हिंदी
Falak pe jitne hain tare shumar se bahar | Shaahi Shayari
falak pe jitne hain tare shumar se bahar

Ghazal

Falak pe jitne hain tare shumar se bahar

Mohammad Naved Mirza

;

falak pe jitne hain tare shumar se bahar
nikal na jaen kisi din madar se bahar

teri judai ka mausam bhi KHub-surat hai
mujhe nikal raha hai KHumar se bahar

kisi bhi waqt ye manzar badalne wala hai
dikhai dene laga hai ghubar se bahar

udas rut hai abhi tak mere taaqub mein
KHizan ke phul khile hain bahaar se bahar

tere karam se to patthar bhi bol paDte hain
nahin hai kuchh bhi wahan iKHtiyar se bahar

mere wajud ka gumbad hai TuTne wala
nikalne wala hun main is hisar se bahar