falak ne ranj tir-e-ah se mere ze-bas khencha
labon tak dil se shab nale ko main ne nim ras khencha
mere shoKH-e-KHarabaati ki kaifiyyat na kuchh puchho
bahaar-e-husn ko di aab us ne jab charas khencha
raha josh-e-bahaar is fasl gar yunhi to bulbul ne
chaman mein dast-e-gul-chin se ajab ranj is baras khencha
kaha yun sahib-e-mahmil ne sun kar soz majnun ka
takalluf kya jo nala be-asar misl-e-jaras khencha
nazakat rishta-e-ulfat ki dekho sans dushman ki
KHabardar 'arzu' Tuk garm kar tar-e-nafas khencha
Ghazal
Falak ne ranj tir-e-ah se mere zi-bas khencha
Khan Arzoo Sirajuddin Ali