falak ne bheje hain kya jaane kis wasile se
lahu ke bahr mein bhi kuchh sadaf hain nile se
abhi to qafila-e-baad sabz rah mein hai
isi liye to hain ashjar-e-dasht pile se
jo mere sath hai sadiyon se misl-e-aks-e-bahaar
KHabar nahin ki hai wo shaKHs kis qabile se
paDa hai kab se siyah-posh mera dasht-e-badan
charagh is mein jala de kisi bhi hile se
qayas kahta hai un ke aqab mein hai suraj
chamak rahe hain ufaq par jo zard Tile se
hai lams-e-ab se mahrum dasht-e-KHak-o-hawa
na jaane kis liye zarraat phir hain gile se
ragon mein aaj bhi raushan hain surKH-o-zard charagh
ajib shai the wo ishrat badan nashile se
Ghazal
Falak ne bheje hain kya jaane kis wasile se
Ishrat Zafar