falak-nazhad sahi sar-nigun zamin pe tha main
jabin KHak pe thi aur meri jabin pe tha main
gundhi paDi thi meri KHak KHal-o-KHad ke baghair
abhi humakta hua chaak-e-awwalin pe tha main
ye tab ki baat hai jab kun nahin kaha gaya tha
kahin kahin pe KHuda tha kahin kahin pe tha main
naya naya main nikala hua tha jannat se
zamin banai gai jin dinon yahin pe tha main
KHuda ka hukm baja bad-gumani apni jagah
ghalat na tha mera inkar is yaqin pe tha main
KHuda ke jhagDe mein aaKHir dimagh haar gaya
ki dil sabaat mein tha aur nahin nahin pe tha main
Ghazal
Falak-nazhad sahi sar-nigun zamin pe tha main
Anjum Saleemi