falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahonche
hamein ye zoam ki hum wah wah tak pahonche
unhen na rakh tu karam ki nigah se mahrum
jo luT-luTa ke teri bargah tak pahonche
hua na hum se mudawa-e-dard-e-nau-e-bashar
bahut chale to sawab-o-gunah tak pahonche
na jaane kab se hun sargarm-e-justuju ai dost
na jaane kab ruKH-e-manzil nigah tak pahonche
wufur-e-shauq mein ye ehtiyat ho na saki
ki aarzu na hamari nigah tak pahonche
hamari zist ki rudad-e-gul ye hai 'jawed'
ki mai-kade se chale KHanqah tak pahonche
Ghazal
Falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahonche
Zuhoor-ul-Islam Javed