falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre
sakun dushwar hai kyunkar tabiat koi dam Thahre
qaza ne doston se dekhiye aaKHir kiya nadim
kiye the ahd-o-paiman jis qadar wo kul adam Thahre
chhua tu ne jise mara use ai afai-e-gesu
ye sab tiryaq mere tajraba karne mein sam Thahre
kiya jab ghaur koson dur nikli manzil-e-maqsad
kabhi gar pa-e-shal uTThe to chal kar do qadam Thahre
laga kar dil juda hona na thi shart-e-wafa sahab
gham-e-furqat ki shiddat se karam jaur-o-sitam Thahre
jo kuchh dekha wo aaina tha aane wali haalat ka
jahan dekha yahi aaankhon ke kanse jam-e-jam Thahre
amal kahne pe apne hazrat-e-waiz karen pahle
gunah ke mo'tarif jab hain to wo kab mohtaram Thahre
jawani ki siyah-masti mein wasf-e-zulf likkha tha
baDha wo silsila aisa ki hum mushkin qalam Thahre
ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta
wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram Thahre
bashar ko qaid-e-kulfat maya-e-andoh-o-afat hai
rahe achchhe jo is mehman-sara mein aa ke kam Thahre
'habib'-e-na-tawan se rah-e-ulfat tai nahin hoti
ajab kya gar ye rasta jada-e-mulk-e-adam Thahre
Ghazal
Falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre
Habeeb Musvi