falak ke rang zamin par utarta hua main 
tamam KHalq ko hairat se marta hua main 
do chaar sans mein jita hun ek arse tak 
zara se waqt mein sadiyan guzarta hua main 
jo mere samne hai aur dil-o-dimagh mein bhi 
chahaar-samt usi ko pukarta hua main 
mere nuqush pe kari-gari ruki hui hai 
shikasta chaak se KHud ko utarta hua main 
tumhaari jit mein pinhan hai meri jit kahin 
tumhaare samne har bar haarta hua main
        Ghazal
Falak ke rang zamin par utarta hua main
Ahmad Khayal

