falak ke hathon jidhar munh uThae jata hun
udhar se jun gul-e-bazi tapancha khata hun
kabhi hai aankhon mein zar dida pe nigah un ki
ki main har ek se aankh apni ab churaata hun
hawa ke ghoDe pe jab wo sawar hote hain
to pa ke waqt main kya kya maze uData hun
KHilafi un ke wo aankhen jo yaad aati hain
to apni aankhon ko ro ro ke main sujata hun
bala se gar nahin milte wo mujh se par 'maruf'
unhon ka shahr main aashiq to main kahata hun
Ghazal
Falak ke hathon jidhar munh uThae jata hun
Maroof Dehlvi