اردو हिंदी
Falak karne ke qabil aasman hai | Shaahi Shayari
falak karne ke qabil aasman hai

Ghazal

Falak karne ke qabil aasman hai

Mir Taqi Mir

;

falak karne ke qabil aasman hai
ki ye pirana-sar jahil jawan hai

gae un qafilon se bhi uThi gard
hamari KHak kya jaanen kahan hai

bahut na-mehrban rahta hai yani
hamare haal par kuchh mehrban hai

hamein jis jae kal ghash aa gaya tha
wahin shayad ki us ka aastan hai

mizha har ek hai us ki tez nawak
KHamida bhaun jo hai zorin kaman hai

use jab tak hai tir-andazi ka shauq
zabuni par meri KHatir nishan hai

chali jati hai dhaDkon hi mein jaan bhi
yahin se kahte hain jaan ko rawan hai

usi ka dam bhara karte rahenge
badan mein apne jab tak nim-jaan hai

paDa hai phul ghar mein kahe ko 'mir'
jhamak hai gul ki barq-e-ashiyan hai