اردو हिंदी
Falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai | Shaahi Shayari
falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai

Ghazal

Falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai

Jameel Malik

;

falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai
jise shabnam sahar ki shoKH kirnon mein piroti hai

wahi masti meri dhaDkan hai mere dil ki joti hai
jo teri nilgun aankhon mein gahri nind soti hai

zamin-e-dard mein chahat wafa ke bij boti hai
to kya kya jawedan lamhat ki taKHliq hoti hai

taDapti hai mere sine mein aise aarzu teri
koi jogan ghane jangal mein jaise chhup ke roti hai

ye meri soch har zarre mein suraj ki tamannai
ye dil ki raushni ko lamhe lamhe mein samoti hai

gae waqton ki pahnai chhalak jati hai aankhon se
andheri raat mein jab qatra qatra os roti hai

kahan milti hai wo rahat nae yaKH-basta chehron mein
purane doston se mil ke jo taskin hoti hai