falak hai surKH magar aaftab kala hai
andhera hai ki tere shahr mein ujala hai
chaman mein in dinon kirdar do hi milte hain
koi hai sanp koi sanp ka niwala hai
shab-e-safar to isi aas par bitani hai
ajal ke moD ke aage bahut ujala hai
jahan KHulus ne khai shikast duniya se
wahin junun ne uTh kar mujhe sambhaala hai
main kho gaya hun tere KHwab ke taaqub mein
bas ek jism mera aaKHiri hawala hai
Ghazal
Falak hai surKH magar aaftab kala hai
Mayank Awasthi