falak chakkar mein kyun chaunsaTh ghaDi hai
girah us ke bhi talea mein kaDi hai
koi isa-nafas hai aane wala
ajal goshe mein wo dubki khaDi hai
tere dar par hujum-e-ashiqan hai
tamanna bhi tamannai khaDi hai
tabassum se tere gulshan mein hai nur
gulon par chandni lauTi paDi hai
agar aashiq nahin mu-e-kamar par
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
koi haTti hai hasrat un ke dar se
khaDi hai DaT gai hai ja aDi hai
ba-waqt-e-zabh bismil tegh hogi
dil-e-ashiq ko aisi tar-pahDi hai
Ghazal
Falak chakkar mein kyun chaunsaTh ghaDi hai
Ashique Akbarabadi