falak banaya gaya hai zamin banai gai
aman ki koi jagah hi nahin banai gai
nikalti kis tarah koi yaqin ki surat
yaqin ki koi surat nahin banai gai
chalenge hum bhi mohabbat-nagar samajh ke use
gar aisi koi bhi basti kahin banai gai
bujhe bujhe hue manzar wo jis maqam ke the
hamare rahne ki surat wahin banai gai
jab us ko ghaur se dekha to aankh bhar aai
samajh raha tha main duniya hasin banai gai
kasak sajai gai us mein pahle sajdon ki
phir us ke baad hamari jabin banai gai
'nabil' utara gaya mujh ko aasman se yun
fasurda KHak meri ham-nashin banai gai
Ghazal
Falak banaya gaya hai zamin banai gai
Nabeel Ahmad Nabeel