falah-e-admiyat mein saubat sah ke mar jaana
yahi hai kaam kar jaana yahi hai nam kar jaana
jahan insaniyat wahshat ke hathon zabh hoti ho
jahan tazlil hai jina wahan behtar hai mar jaana
yunhi dair o haram ki Thokaren khate phire barson
teri Thokar se likkha tha muqaddar ka sanwar jaana
sukun-e-ruh milta hai zamane ko tere dar se
bahisht-o-KHuld ke manind hum ne tera dar jaana
hamari sada-lauhi thi KHuda-baKHshe ki KHush-fahmi
ki har insan ki surat ko ma-fauq-ul-bashar jaana
ye hai rindon pe rahmat roz-e-mahshar KHud mashiyyat ne
likha hai aab-e-kausar se nikhar jaana sanwar jaana
chaman mein is qadar sahme hue hain aashiyan wale
ki jugnu ki chamak ko sazish-e-barq-o-sharar jaana
hamein KHar-e-watan 'gulzar' pyare hain gul-e-tar se
ki har zarre ko KHak-e-hind ke shams o qamar jaana
Ghazal
Falah-e-admiyat mein saubat sah ke mar jaana
Gulzar Dehlvi