faiz tha us ke tasawwur ka jo chashm-e-tar tak
qafile rang ke khinch aae hamare ghar tak
dekhte ahl-e-jahan zauq-e-wafa ke jauhar
us ki talwar hi pahunchi na hamare sar tak
tere kuche ki faza aur hi kuchh hai yun to
nazren ho aai hain duniya ke har ek manzar tak
ai KHirad tujh se kisi dil ko jagaya na gaya
ishq ke hath mein to bol uThe patthar tak
hum to mausam ke ishaaron se bahak jate hain
mai-kashi kuchh nahin mahdud KHum-o-saghar tak
maut aa jae bas ek sajda-e-pur-shauq ke baad
kash ho jae rasai kabhi tere dar tak
kya ho anjam taraqqi ka KHuda jaane 'jalil'
shorish-e-aql se larzan hain mah-o-aKHtar tak
Ghazal
Faiz tha uske tasawwur ka jo chashm-e-tar tak
Jaleel Fatehpuri