اردو हिंदी
Faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan | Shaahi Shayari
faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan

Ghazal

Faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan

Hasrat Mohani

;

faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan
mere liye ek bala-e-hasan

sham-e-ghariban ke barabar kahan
mazhab-e-ushshaq mein subh-e-watan

aah wo ghaarat-gar-e-sabr-o-shakeb
silsila-e-zulf shikan dar shikan

fitna-e-jaan wo suKHan-e-dil-pazir
dushman-e-din wo nigah-e-sahar-fan

jalwa-e-jaanan se hai dar-us-surur
KHana-e-jaan ab nahin bait-ul-huzn

mehr o murawwat se tumhein wasta
ye bhi harifon ka hai ek husn-e-zan

jab se kaha ishq ne 'hasrat' mujhe
koi bhi kahta nahin fazl-ul-hasan