اردو हिंदी
Faisle lamhat ke naslon pe bhaari ho gae | Shaahi Shayari
faisle lamhat ke naslon pe bhaari ho gae

Ghazal

Faisle lamhat ke naslon pe bhaari ho gae

Rahat Indori

;

faisle lamhat ke naslon pe bhaari ho gae
bap hakim tha magar beTe bhikari ho gae

dewiyan pahunchin thin apne baal bikhrae hue
dewta mandir se nikle aur pujari ho gae

raushni ki jang mein tarikiyan paida huin
chand pagal ho gaya tare bhikari ho gae

rakh diye jaenge neze lafz aur honTon ke bich
zill-e-subhani ke ahkaamat jari ho gae

narm-o-nazuk halke-phulke rui jaise KHwab the
aansuon mein bhigne ke baad bhaari ho gae