fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baiTha tha mere aur wo mera na tha
wo ki KHushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su
main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar pichhli si aahaT kan mein aati rahi
jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
main teri surat liye sare zamane mein phira
sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha
aaj milne ki KHushi mein sirf main jaga nahin
teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha
ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin
aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha
sainkaDon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab
ek patthar tha KHamoshi ka ki jo haTta na tha
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim'
warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha
Ghazal
Fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
Adeem Hashmi