fasla to hai magar koi fasla nahin
mujh se tum juda sahi dil se tum juda nahin
karwan-e-arzu is taraf na ruKH kare
un ki rahguzar hai dil aam rasta nahin
ek shikast-e-aina ban gai hai saneha
TuT jae dil agar koi hadsa nahin
aaiye charagh-e-dil aaj hi jalaen hum
kaisi kal hawa chale koi jaanta nahin
aasman ki fikr kya aasman KHafa sahi
aap ye bataiye aap to KHafa nahin
kis liye 'shamim' se itni bad-gumaniyan
mil ke dekhiye kabhi aadmi bura nahin
Ghazal
Fasla to hai magar koi fasla nahin
Shamim Karhani