اردو हिंदी
Fasla rakkho zara apni mudaraaton ke bich | Shaahi Shayari
fasla rakkho zara apni mudaraaton ke bich

Ghazal

Fasla rakkho zara apni mudaraaton ke bich

Rashid Aazar

;

fasla rakkho zara apni mudaraaton ke bich
duriyan baDh jaengi paiham mulaqaton ke bich

kya bharosa kam hua be-e'tibari baDh gai
tanz ka lahja dar aaya pyar ki baaton ke bich

tu bhi mere aks ke manind mere sath hai
main akela kab raha hun dukh bhari raaton ke bich

shikwa-sanji ne KHulus--e-iltija kam kar diya
kuchh shikayat bhi zaban par thi munajaton ke bich

band darwaze pe kya 'azar' dua ko hath uThe
ya adhuri rah gai dastak tere hathon ke bich