kasrat-e-jalwa ko aaina-e-wahdat samjho
jis ki surat nazar aae wahi surat samjho
gham ko gham aur na musibat ko musibat samjho
jo dar-e-dost se mil jae ghanimat samjho
jhuk ke jo sainkaDon fitnon ko jaga sakti hain
wo nigahen agar uTThen to qayamat samjho
nahin hote hain riya-kari ke sajde mujh se
main agar sar na jhukaun to ibaadat samjho
rafta rafta meri KHuddari se waqif hoge
abhi kuchh din mere andaz-e-mohabbat samjho
jalwa dekhoge kahan dil ke alawa apna
mere TuTe hue aaine ki qismat samjho
kam nahin dur asiri mein sahaara ye bhi
qaid mein yaad-e-nasheman ko ghanimat samjho
KHub samjhaya hai ye katib-e-qismat ne hamein
jo mayassar ho jahan mein use qismat samjho
ham-jafaon ko bhi andaz-e-inayat samjhen
aur tum shukr-e-sitam ko bhi shikayat samjho
meri aankhon mein abhi ashk bahut baqi hain
tum jo mahfil mein charaghon ki zarurat samjho
ai 'saba' kyun ho dar-e-ghair pe tauhin-talab
apne hi dar ko hamesha dar-e-daulat samjho

Ghazal
Kasrat-e-jalwa ko aaina-e-wahdat samjho
Saba Akbarabadi