اردو हिंदी
Ek wahshat hai rahguzaron mein | Shaahi Shayari
ek wahshat hai rahguzaron mein

Ghazal

Ek wahshat hai rahguzaron mein

Shaukat Pardesi

;

ek wahshat hai rahguzaron mein
qafile luT gae bahaaron mein

saz KHamosh aarzu bimar
koi naghma nahin hai taron mein

is taraf bhi nigah-e-duzdida
hum bhi hain zindagi ke maron mein

ye to ek ittifaq hai warna
aap aur mere gham-gusaron mein

aadmi aadmi na ban paya
bastiyan luT gain ishaaron mein

dekh kar waqt ke taghayyur ko
chand sahma hua hai taron mein

the kabhi ruh-e-anjuman 'shaukat'
ab to hain ajnabi se yaron mein