ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin
warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin
ji mein aata hai ulaT den un ke chehre se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahin
shama jis ki aabru par jaan de de jhum kar
wo patinga jal to jata hai fana hota nahin
ab to muddat se rah-o-rasm-e-nazara band hai
ab to un ka tur par bhi samna hota nahin
har shanawar ko nahin milta talatum se KHiraj
har safine ka muhafiz naKHuda hota nahin
har bhikari pa nahin sakta maqam-e-KHwajgi
har kas-o-na-kas ko tera gham ata hota nahin
hae ye beganagi apni nahin mujh ko KHabar
hae ye aalam ki tu dil se juda hota nahin
barha dekha hai 'saghar' rahguzar ishq mein
karwan ke sath aksar rahnuma hota nahin
Ghazal
Ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin
Saghar Siddiqui