ek ujli umang uDai thi
hum ne tum ne patang uDai thi
sham barish mein tere chehre se
abr ne qaus-e-rang uDai thi
main ne bachpan ki KHushbu-e-nazuk
ek titli ke sang uDai thi
apni hi az-rah-e-tafannun-e-taba
dhajji-e-nam-o-nang aDai thi
KHwab ne kis KHumar ki KHashak
darmiyan-e-palang uDai thi
koi bairuni aanch thi jis ne
andaruni tarang uDai thi
chhin kar ek dusre ki baqa
hum ne tazhik-e-jang uDai thi
ehtimam-e-dhamal kho baiTha
kis ne KHak-e-malang uDai thi
mere chaaron taraf labon ki dhanak
us ne lagte hi ang uDai thi
hum ne puchha nahin hamari ana
kis se ho kar dabang uDai thi
phuljhaDi thi ki tere kuche mein
tan ga kar talang uDai thi
KHud se tha bair pani mein rah kar
hum ne mauj-e-nahang uDai thi
ek din hum ne hath phaila kar
chadar-e-pa-e-tang uDai thi
parKHache chaaron or bikhre the
ek badan ne surang uDai thi
phenk kar apne doston ki taraf
izz-o-jah-e-KHadang uDai thi
zaiqa ja saka na munh se 'nawed'
dawat-e-shoKH-o-shang uDai thi
Ghazal
Ek ujli umang uDai thi
Afzal Naved