ek udasi dil par chhai rahti hai
mere kamre mein tanhai rahti hai
sine mein ek dard bhi rahta hai bedar
aankhon mein kuchh nind bhi aai rahti hai
dil-dariya ki thah bataen kya jis mein
sat samundar ki gahrai rahti hai
hum bhi isi basti ke rahne rahne wale hain
jis mein teri be-parwai rahti hai
pahlu mein ab 'saif' mera kya baqi hai
dil hai jis mein yaad parai rahti hai
Ghazal
Ek udasi dil par chhai rahti hai
Saifuddin Saif