ek tum hi nahin duniya mein jafakar bahut
dil salamat hai to dil ke liye aazar bahut
hae kya chiz hai mahrumi-o-gham ka rishta
mil gae zist ke har moD pe gham-KHwar bahut
yaad-e-ahbab ki KHushbu se mahakti shamen
kuchh kaho hoti hain kambaKHt dil-azar bahut
ishq-e-awara kahan qaid-e-dar-o-baam kahan
be-nawaon ke liye saya-e-diwar bahut
dil ki raftar badal jati thi aawaz ke sath
yaad aata hai wo pairaya-e-guftar bahut
ek din waqt bataega junun ki azmat
yun to hum log hain ruswa sar-e-bazar bahut
wo kashakash hai ki jina bhi hai dubhar 'taban'
ishq masum bahut husn fusun-kar bahut
Ghazal
Ek tum hi nahin duniya mein jafakar bahut
Taban Ghulam Rabbani