ek to tujh se meri zat ko ruswai mili
aur phir ye bhi sitam hai ki tu harjai mili
muskuraata hun to honTon pe jalan hoti hai
teri chahat mein mujhe karb ki yakjai mili
phir kisi KHauf se jazbon ke badan kanp uThe
jab bhi un shabnami aankhon se pazirai mili
ek ye log ki sathi bhi badal lete hain
ek mera dil ki jise zat ki tanhai mili
jis ne dil walon ki basti mein rihaish rakkhi
us siyah-baKHt ko barson ki shakebai mili
zahiran sab hi liye phirte hain raushan aankhen
warna kitne hi jinhen ruh ki binai mili
us ki aankhon mein mera nam farozan tha 'niyaz'
jis ke chehre pe mujhe apni shanasai mili
Ghazal
Ek to tujhse meri zat ko ruswai mili
Niyaz Husain Lakhwera