اردو हिंदी
Ek to kawish-e-jigar bhi karun | Shaahi Shayari
ek to kawish-e-jigar bhi karun

Ghazal

Ek to kawish-e-jigar bhi karun

Nadeem ahmad

;

ek to kawish-e-jigar bhi karun
aur phir minnat-e-samar bhi karun

ishq mein KHair tha junun lazim
ab koi dusra hunar bhi karun

sochta hun tere taaqub mein
KHud ko ruswa-e-baal-o-par bhi karun

pahle bin-mange zindagi de di
aur phir shart hai basar bhi karun

sher likkhun bhi aur logon mein
shaeri apni mushtahar bhi karun

lafz o mani ka jabr jhelun bhi
aur phir KHud ko mo'tabar bhi karun

kaam kuchh be-sabab bhi kar Dalun
aur kuchh kaam soch kar bhi karun