ek taswir ki awwal nahin dekhi jati
dekh bhi lun to musalsal nahin dekhi jati
dekhi jati hai mohabbat mein har ek jumbish-e-dil
sirf sanson ki rehearsal nahin dekhi jati
ek to waise baDi tarik hai KHwahish-nagri
phir tawil itni ki paidal nahin dekhi jati
aisa kuchh hai bhi nahin jis se tujhe bahlaun
ye udasi bhi musalsal nahin dekhi jati
samne ek wahi surat nahin rahti aksar
jo kabhi aankh se ojhal nahin dekhi jati
main ne ek umr se baTwe mein sambhaali hui hai
wahi taswir jo ek pal nahin dekhi jati
ab mera dhyan kahin aur chala jata hai
ab koi film mukammal nahin dekhi jati
ek maqam aisa bhi aata hai safar mein 'jawwad'
samne ho bhi to daldal nahin dekhi jati
Ghazal
Ek taswir ki awwal nahin dekhi jati
Jawad Sheikh