ek taswir jo tashkil nahin ho pai
canwas par kabhi takmil nahin ho pai
ye jo ek bhiD hai ye bhiD ki baDi muddat se
meri tanhai mein tahlil nahin ho pai
tirgi ne koi tawiz kiya hai shayad
is liye raushni tarsil nahin ho pai
main ne har lafz nibhaya tha baDi shiddat se
par meri shairi injil nahin ho pai
sara saman tha maujud meri gaThri mein
han magar hath mein qindil nahin ho pai
phir kisi raat wo kohsar pe baiTha bola
chandni-raat ki tamsil nahin ho pai
kis tarah main unhen mahfuz rakhunga 'basit'
KHwahishon ki koi zambil nahin ho pai
Ghazal
Ek taswir jo tashkil nahin ho pai
Vasaf Basit