ek taswir jalani hai abhi
han magar aankh mein pani hai abhi
us ne jab hath milaya to laga
dil mein ek phans purani hai abhi
abhi baqi hai bichhaDna us se
na-mukammal ye kahani hai abhi
ai hawa aisi bhi ujlat kya hai?
kya kahin aag lagani hai abhi
rasta rok rahi hai ek yaad
ye bhi diwar girani hai abhi
ye jo patthar hain inhen TuTna hai
mere ashkon mein rawani hai abhi
waqt ye puchh raha hai 'tariq'
gard kuchh aur uDani hai abhi?
Ghazal
Ek taswir jalani hai abhi
Tariq Qamar