اردو हिंदी
Ek tanha KHatir-e-mahzun jise afkar sau | Shaahi Shayari
ek tanha KHatir-e-mahzun jise afkar sau

Ghazal

Ek tanha KHatir-e-mahzun jise afkar sau

Meer Asar

;

ek tanha KHatir-e-mahzun jise afkar sau
ek mujh bimar se wabasta hain aazar sau

hai tajjub nok-e-mizhgan se jo KHun-aluda hun
KHun-girafta ek dil aur KHanjar-e-KHun-KHwar sau

mu-ba-mu kyun-kar na ho mujh ko giraftari-e-zulf
kafir-e-ishq-e-butan main ek aur zunnar sau

du-ba-du kab ho saken us ke 'asar' hai aankh nar
kya hua, hain dekhne kahne ko gar aghyar sau