اردو हिंदी
Ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana | Shaahi Shayari
ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana

Ghazal

Ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana

Krishna Kumar Toor

;

ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana
apne badan se kisi kuen ko bhar jaana

bas ek bund lahu se sari fazilat hai
warna kab zinda rakhta hai mar jaana

us ko DhunDne mein jab bhi rang bhara
hum ne to is dil ko bhi ek manzar jaana

apne sar par KHud hi sajaana suraj ko
aur apni parchhain se KHud hi Dar jaana

KHak ko kyun chamkaya lahu ki raushni se
duniya ko kya soch samajh kar ghar jaana

ek zara si ana pe bas hum zinda hain
warna 'tur' bahut aasan hai mar jaana